Thursday, June 23, 2011

Maha kavi "Baan" foundation trust ek lok hit kari tatha jan kalyan ke karyon se judi hui sanstha hai. Desh bhar mein hindi ka prachar prasar karne ke liye tatha akhil bhartiya kavi sammelano ka ayojan krna,vichar gosthi,rastriya samsyaon se jude hue seminar, samachar patr ka prakashan tatha sahitya karo ka awasiyakta padne par arthik sahyog karna, unki pustako ko prakashit karane me sahyog karna aadi karyon me sanlagn hai.
 Note:- Saheed parivaaro ki dekh bhaal tatha unke parivaaron ko arthik sahyog pradan karna sanstha ka vishesh lakshy hai.

Yadi aap koi sanstha chalate hai samajik karyon me ruchi rakhte hai, samaj sevi hai ya patrkar, sahitya kar ya kisi bhi dal ke raaj neta hain to Maha kavi "Baan" foundation trust ka chota-bada arthik sahyog karke hame aage badhne ki prerna pradan kare. Is trust ko kisi bhi prakar ki rajkiya sahayta prapt nhi hai atha jan sahyog apechit hai.

Maha kavi Baan foundation trust(sarkar dwara registerd) Bank of india rajaji puram lucknow Publish Post
account number:- 68352011000140

No comments:

Post a Comment